Ek Sahabi-e-Rasool ! Khidmat-e-Aqdas (ﷺ) Me Haazir Hue Aur Arz Ki Yaa Rasoolallah (ﷺ) Duniya Ne Mujh Se Peeth Pher Li.
Huzoor ﷺ Ne Farmaya
Kya Tumhe Wo Tasbeeh Yaad Nahi Jo Tasbeeh Hai Malaika Ki Aur Jis Ki Barkat Se Rozi Di Jaati Hai. Khalq-e-Duniya Aayegi Tere Paas Zaleel-O-Khwaar Ho Kar.
Tuloo-e-Fajr (Fajr Ka Waqt Shuru Hone) Ke Saath 100 Baar Kaha Kar......
Subhaan Allahi Bi-Hamdihee Subhaan Allahil Azeemi Wa Be-Hamdihee Astagfirullah
Un Sahabi-e-Rasool (رضی اللّٰہ تعالٰی عنہ) Ko 7 Din Guzre The Ki
Khidmat-e-Aqdas (ﷺ) Me Haazir Ho Kar Arz Ki Huzoor ! Duniya Mere Paas Is Kasrat Se Aayi Ke Maiñ Hairaan Hooñ Kahaañ Uthaauñ, Kahaañ Rakhuñ.
Is Tasbeeh Ka Aap Bhi Wird Rakheñ Hattal Imkaan Tuloo-e-Subh-e-Saadiq Ke Saath Rozana Subh Se Pahle...!
Hindi English Urdu Teeno Language Me Padhne Ke Liye Niche Click Kare